Friday, August 23, 2013

Mere Bhaarat ke neta

Mere Bhaarat ke netaao, Vyarth naa khaar tum khaao, Mehngaayi tab bhi aani thi, Mehngaayi ab bhi aayi hai.... Pyaazo ko chhuaapo tum, byaazo ko badhaao tum, Bhale sansad ko ghero tum, Janta se muh fero tum, Mehngaayi tab bhi aani thi, Mehngaayi ab bhi aayi hai.... Aapas me karo dange, Ayodhya me karo pange, Swiss bank me kholo khaata, Videsh khaana tumhe bhaata, Mehngaayi tab bhi aani thi, Mehngaayi ab bhi aayi hai.... Aarakshan ko badhaava do, Mujrimo ko chadhaava do, Pakistan ko kaho hello, China ki dhauns bhi seh lo, Mehngaayi tab bhi aani thi, Mehngaayi ab bhi aayi hai.... Karo atpati bayaanbaazi, ghotaalo me raho raazi, Videsho ke karo daure, Dollar ke bharo bore, Mehngaayi tab bhi aani thi, Mehngaayi ab bhi aayi hai.... - Brij Rattan Sharma

No comments:

Post a Comment